main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai
magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin
yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2
vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse
vo ek rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin
mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2
tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3
    Página 1 / 1

    Letras y título
    Acordes y artista

    restablecer los ajustes
    OK